S3E1: Purani Dilli ki Galiyo Se

Share:

Listens: 2376

Old Delhi Podcast

Society & Culture


Ballimaran k mohalley ki wo pechida galilon ki si galiyan…jahan se ek Purane sukhan ka safa khulta hai…asadullah ghaalib ka pata milta hai…

Wahaan ab taat k pardey to nahin, aur naa hi gudgudati hui paan ki peeko me wo daad wo waah waah hai. Magar ek mamyaati hui bakri aaj bhi gali Qaasim me mil jaati hai. Aur choodiwalan k katrey ki badi bi aaj bhi apni bujhti hui ankho se darwaze tatolti hain. Unhi Jalebi si pechida galyon me- ghaalib ki haveli k paas- ek sukhan ka safaa..ek baar phir khulta hai…Mere Bachpan ka pata milta hai… Ek sankri si gali milti hai…kiwaad par lohey ki kundi bajti hai…Ek purana sa darwaza khulta hai … Aur aate hain baahar, kuch kirdaar- bilkul aap aur mujh jaise- Aur Karte hain baatein Purani Dilli Walon ki… Credits: Writer: Bint-E-Saleem Narrator: Ahmar Ammar Editor: Deepankar Verma Producer: Abu Sufiyan Nazm: Ustad Wasifuddin Dagar Singer: Arman Ali Dehalvi Copyrights: Purani Dilli Walo Ki Baatein